Bacchon ko padhaao nahi, Bacchon se kuch seekho
Hamara zamaana hi zamaana tha, kahe har peedhi ke boodhon
Har soch jo naya hai, kal zaroor hongey puraney
Afsos hai humlog samjhey ki hum hi sabse sayaaney!
Reyt mein chalta gaya, pagdandi kya chod di
Baarishein tez aa gayi, aur raasta meine kho di
Raat ka sehra aaya, bhooton ko bhi le aaya
Suraj ne kya chamkaaya, ghar mein aakhir laut aaya
-- back from the brink
Baaraah saal aur ek Paathsaala
Do saal aur ek naya dost nahi saala
Teen saal aur bhatak raha hoon akela
Do aur saal, phir dhoondo naukri ka mela
-- searching "Situations Vacant" postings in Times of India
Sabka Maalik ek, har mandir kehta dekh
Insaan ka man ho nek, woh khushiyan paye anek
Par tu-tu mein-mein jaari, yeh sabse badi bimaari
Aaj neta hum pe bhaari, humney kho di dimaag saari
- after a political rally at Deulwadi, Chembur
Ratt raha hoon yeh bakwaas har roz
Kal pareeksha Itihaas - Afsos
Bahut bhari yeh pustak ka bhoj
Chodo dekhen ab Bharat ek khoj!
A day before History exam, March 1989
Aaj Aadmi, Aurat Bandar kal ke Nar Naari aur Vaanar
Auratein jalti roz roz aur Aadmi bante Jaanwar
Chote bacchey dekhe aise batthar haalaat ghar par
Har mandir mein hasta gaya bhagwaan naam ka bandar
-- after a Dowry death news in Free Press Journal (1988)
Naam hokar bhi Vikaas, Padhaayi mein nahi thi Vikaas
Kaam ek kapde ki dukaan mein aur pehenta sirf ek libaas
Shyaam ko woh laut thaa ghar, marta bhooko-pyaas
Thaam li usney maut ko, lekar ek aahkri saans!!
-- of the labour class
Gyan na de jo gyaani woh kehlaye agyaani
Pyaas bujhaye paani, aur duniya ki pareshaani
Madira samajh kar pee liya gyaani ne sirf paani
Paani jaise peetey aaj madira kai agyaani!!